Showing posts with label Video Poetry. Show all posts
Showing posts with label Video Poetry. Show all posts

sad gazal YAAD AAON GAA- WASI SHAH'S BEST URDU...

Tum Meri Ankh K Taiwar Na Bhula Pao Gay
An-Kahi Baat Ko Samjho Ga Tu Yaad Aaon Ga.
Hum Ne Khushion Ki Tarah Gham Bhi Ikathay Daikhy
Safha e Zeest Ko Palto Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Isi Andaz Mein Hoty Thay Mukhatib Mujh Se
Khat Kisi Aur Ko Likho Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Sard Raaton K Mehakty Howay Sannaton Mein
Jab Kisi Phool Ko Chomo Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Ab Tery Ashk Mein Ankhon Se Churra Laita Hon
Hath Se Khud Inhain Poncho Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Shaal Pehnaye Ga Ab Kaun December Mein Tumhain
Baarishon Mein Kabi Bheego Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Aj Tum Mehfil e Yaraan Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabi Toot K Bikhro Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Haadsy Aein Gay Jeewan Mein Tu Tum Ho K Nidhaal
Kisi Deewar Ko Thamo Gay Tu Yaad Aaon Ga.
Is Mein Shamil hai Mery Bakht Ki Siyaahi Bhi
Tum Siah Rang Jo Pehno Gay Tu Yaad Aaon Ga.



sheher me jhashan-e-Eid bhaharan..
ujhre dil me dard hazaran...

Ab k Eid ye kaisi aai......
har so pheli hai tanhai...

na hi usne khat likha hai...
na hi hum ne nazam sunai...

gajre bhi na pehne usne....
na hi usne bal banaye...

Ab k eid ka chaand jo dekha ...
Hum ne bhi na hath uthaye ...

ab k beth k tanhai me na chahat k geet sune hain...
na us k jhore ki khatir hum ne koi phool chune hain..

na hi zikar chala hai us ka
na hi koi mehfil-e-yaraan

Aankhon me selaab hai kaisa.
Aansoo hain ya bad-o-baraan

eid pr wo na ghar se nikli
hum nikle to Aese nikle..
dard ki le kr sari talkhi.
Aankh se jaise Aansoo nikle.

eid k din bs lab se nikla kaisi ye dil soz ghari hai..
na yaroon se hath milaye..
na Masjid me eid parhi hai..

Wese to tha pyar porana..
par is din tajdeed the krte..
dekh k eik dojay ki soorat..
tab hum dono eid the krte..

ab to apna milna jaise ..
Sehraon me bad-o-baraan.


Kaha Tha Na K Yon Sote Hue Mat Chor K Jana
Kaha Tha Na K Yon Sote Hue Mat Chor K Jana
Mujhe Beshak Jaga Dena Bata Dena 

Tumhain Rasta Badlna Hai Meri Had Se Nikalna Hai 
To Tumhain Kis Bat Ka Dar Tha 

Main Tumhain Jane Nahi Deta Kahin Pe Qaid Kar Leta 
Ary Pagal Mohabbt ki Tabiyat Me Zabrdasti Nahi Hoti 

Jise Rasta Badlna Ho Usy Rasta Badlne Se 
Jise Had Se Nikalna Ho Usy Had Se Nikalne Se 
Na Koi Rok PAaya Hai 
Na Koi Rok PAaye Ga

To Tumhain Kis Bat Ka Dar Tha
Muje Beshak Jaga Dete 
Main Tumhain Dekh Hi Leta 

Tumhain Koi Dua Deta Kam Iz Kam Yon To Na Hota 
Mere Sathi Ye Haqiqat Hai Tumhare Bad Khone K Liye Kuch Bhi Nahi Baki

Mgr Main Khone Se Darta Hon
Main Ab Sone Se Darta Hon



Palat aao
K khuwaabon ki
zameenon per
Kisi duniya ka
shehzaada
Kai qirnon
Kai sadiyon say
Tumhaari yaad ki
chaaon mein betha hua hai
Isay Izn-e-huzoori do
K us ki munjamind
berfaab aankhon mein
Khushi ki tittliyaan utrein

Palat aao
K ab bhi sheher ki galiyaan
Tumhaaray paaoon ki
hiddat pay merti hein
Tumhein aawaaz dayti hein
Diye her aanay waalay say
tumhaara poochtay hein
Or Derwaazay .....
Tumhaari aahaton mein gum
Mager tum !
Dooriyo k
sheher say
bhi door
bethay ho
Jahaan
aawaaz bhi
jaanay say
derti hai

Palat aao
K ab bhi
raastay
ummeed ki
khushboo say
mehkay hein
K tunhaai .....
Hamaari rooh k
saahil pay jab bhi
been kerti hai
Tumhaara naam layti hai

Hawa jab gungunaati hai
To is k surmai honton say
Teray sung huway lamhon ki
Khushboo uraati hai

Palat aao .....
K ab
hum
devtaaon ki terhan
khaamosh
reh reh ker
Tumhaaray hijr k
aazaar seh seh ker
Bohat hi thak chukay hein
Hamein ab neend k
lambay
safer
per
lout
jaana hai
Jahaan hum nay
Zamaanay ki
nigaahon say paray
Ik or hi manzer
basaana b hai

Palat aao
K ye lamhein
hamaara maas
khaanay per tulay hein
Zindagi baarood ban ker
jism-o-jaan mein dorti hai
Aankh pathraai hui hai
Haath Shal hein
Or
hum
pay
mout
si
chaai
hui hai ..... !


bohat mumkin tha
mere paon meri
zeest k kantey nikal jate
bohat mumkin tha
meri raah k pathar pighal jatey
jo diwarein mere rastey mein hayel thi
mere agey se hat jati
agar tum ankh utha kar dekh letey
kohsaron ki taraf aik pal
chatanein ik tumhari junbsh-e-abru se kat jati
bohat mumkin tha
angaron bhari is zindagi mein
tumhare paon k ujley kanwal khiltey
rafaqat ki sunehri jheel mein
dono k aks-e-zulfishan hiltey
bus ik khwab -e- musalsal ki fiza rehti
hamari rooh hum se kab khafa reti?
ye sab kuch ain mumkin tha
agar tum mujh ko mil jatey